Amazon Seller, Merchant Account Kaise Banaye: Hello Dosto! Jaisa ki aap sabhi jante hai ki aaj ke yug mai adhiktak kaam online madhyam se hone lage hai. Aise me khud to is yug mai dhaalne se hi hum aarthik roop se mazboot ho sakte hai. Aaj kal aise kayi online tareeke hai jisse aap paisa kama sakte hai. Aise me Amazon par seller account khonla ek sabse acha aur kamyab tareeka hai. Agar aap ek store chalate hai to kyu na apne product to online becha jaye. Kya aisa khayal apke man me nahi aaya hai, zaroor aaya hoga. Mujhe pata hai ki yaha bahut aise log honge jo Amazon seller account kholna chahte hai but unko ptata nahi hai ki Amazon par seller aur merchant account kaise khola jaye. Apme se kisi ko pareshan hone ki zaroorat nahi hai kyuki Mai apko is article me batauga ki Amazon seller kaise bane aur Amazon par apna seller account kaise khole.
Amazon Seller Account Se Business Kaise Kare
How to Create Amazon Seller Account in Hindi
- Sabse pehle apko Amazon ki seller website par jaana hai
- Aur fir apko Sign in karna hai
- Waha Login karne ke liye apka Email or Mobile number daalkar apna password daale
- Agar aap new user hai to apko Sign up ki prakriya ko poora karna hoga
- Log in karne ke baad apko yaha apni company kaa naam dalna hoga aur continue par click karna hoga
- Ab aapko apne business se sambandhit kuch zaroori janakari aur documents dene honge
- Sabse pehle apko tax details bharna hoga
- Isme apko pan aur GSTIN sankhya likhkar save par click karna hai
- Dusre page par apko apke product ke anusar lagne wale GST ka chayan karna hoga, chayan karte he next par click kare
- Akhiri pe apko apna Signature Upload karna hai aur Launch Your Business Par Click Karna hai
- Is prakar apna Amazon Seller account tayar ho jayega
Amazon Par Apne Product Ko Sell Kaise Kare
- Registration prakriya poori karne ke baad apke Email par Account approval ka mail aayega
- Ab aap apna account khole aur Catalauge mai jaaye
- Waha ap apne products ko Amazon mai shamil kar sakte hai
- Ab apka product Amazon mai bechne ke liye tayar hai
- Dhyan rakhe product ki sahi jaankari hi de
- Apka kimti waqt dene ke liye shukriya
Amazon Seller Account Me Businness Karne Ke Fayde
- Amazon me seller account banane se apka product duniya ke kisi kone me becha ja sakta hai
- Isse apke store aur apki popularity badegi
- Amazon seller bahut hi safe aur secure medium hai business krne ka
- Yeh bilkul free platform hai jo Amazon dwara provide karaya ja raha hai
1 Comments
kya baat hain sir ji
ReplyDelete